Tuesday 24 March 2015

Tum basi ho kan-kan andar maa

                 Tum basi ho kan-kan andar maa

Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

Hum moodhmati hum anjaane
Maa saar tumhara kya jaane

Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

Teri maaya ko na jaan sake
Tujhko na kabhi pahchaan sake
Hum moh ki nindra soye rahe
Idhar udhar hi khoye rahe

Tu hi suraj tu hi chandrama - 
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein
Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

Har jagah tumhaare dere maa
Koi khel na jaane tere maa
In naine ko na pata lage
Kis roop mein teri jyot jage
Tu parvat tu hi samandar - 2

Hum dhoondhte rahgaye mandir mein
Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

Koi kahta tum hi pawan mein ho
Aur tum hi jwala agan mein ho
Kahte hai aamber aur jami
Tum sab kuchh ho, hum kuchh bhi nahi
Phal phool tumhi ho, tumhi taruwar maa - 2
Hum doodte rahgaye mandir mein

Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

Hum moodhmati hum aanjane
Maa saar tumhara kya jaane

Tum basi ho kan-kan andar maa
Hum dhoondhte rahgaye mandir mein

No comments:

Post a Comment